Treasure of Seven Trials - Aaliyah’s Treasure Map
Kahani Ki Shuruat:
Ali, ek gareeb guide, Rajasthan ke ek chhote se gaon mein rehta tha. Uski zindagi puri tarah se registan mein tourists ko rasta dikhane aur unhe kahaniyan sunane mein guzar rahi thi. Ek din, jab bohot samay tak koi customer nahi mila, wo chhupte-chhupte ghoomte ghoomte ek aise jagah pahuch gaya jaha bohot kam log aate the. Waha ek purana mahal tha. Bahut hi kam log us mahal ko dekhne jaate the. Ali ne socha, kyun na sabse pehle mein is mahal ko achhe se dekh loon, aur thodi jaankari ikatthi karoon, phir tourists ko le aakar dikhata hoon.
Jab wo mahal ke andar gaya, to uska mahaul kafi ganda aur purana tha. Ali ko waha purani cheezein milti rahi—kapde, tuti hui cheezen, aur purani cheezein jinhone purane log istemal ki thi. Mahal ke andar jaise-jaise wo aage badh raha tha, usne ek tahkhana dekha. Wo tahkhane mein gaya, jaha use kuch purane sikke mile. Wo sab sikke apne jholi mein bhar ke ghar le gaya, aur socha ki yaha koi tourist lana kaafi bekar rahega.
Jaise hi wo wapas jaana soch raha tha, usne ek chamakti hui chhoti si gol cheez dekhi. Jaldi se wo waha gaya aur us cheez ko uthana shuru kiya. Jaise hi usne mitti hatai, usse ehsaas hua ki wo ek box tha. Wo box bohot purana aur zyada majboot tha, aur us par ek taala laga tha. Taala todna kaafi mushkil lag raha tha, lekin Ali ne box ko dekha aur socha ki ye box kahi na kahi kamjor hoga. Wo uss box ko apni taraf se pathar maar maar ke todna shuru karta hai.
Kafi waqt baad, Ali ko box ka ek hissa todna milta hai. Dheere dheere usne apna haath andar daala aur kuch nikaal liya. Wo ek sundar mala thi, jo abhi bhi apni purani khoobsurati ko banaye hue thi. Ali bohot khush hota hai aur uss box ko puri tarah se tod ke dekh leta hai. Usme kuch aur purane sikke aur chhoti chhoti cheezein milti hain. Ali bahut khush hota hai, aur ek kapde mein lapet kar, ek aur cheez milti hai. Jab wo uss cheez ko kholke dekhta hai, to wo ek kitaab hoti hai.
Woh kitaab ka naam tha Aaliyah Ki Kahani (Aaliyah’s Story). Ali uss kitaab ko padne lagta hai.
Kitaab mein likha tha:
"Main Aaliyah hoon. Aaj meri umar 18 saal ki ho gayi hai, aur mere janamdin ki tayari bohot dhamal se ho rahi hai. Mere walid ne pura mahal saja diya hai, aur praja ko khane ke liye bulaya hai. Main bohot khush hoon aur apne kamre ki khidki ke paas baithi hoon, sab kuch dekh rahi hoon, aur yeh kitaab likh rahi hoon."
Ali pura dhyan laga ke yeh sab padh raha tha, aur soch raha tha, kya mujhe yeh kitaab ghar le jaana chahiye aur puri tarah se padhni chahiye? To Ali wo kitaab le aata hai aur kuch sikke apni maa ko dekar, keh raha hai, Aaj yeh kamai hui hai. Uski maa sikke sambhal kar rakh leti hai.
Ali apne kone mein baith kar, kitaab ko padhte hue Aaliyah ki kahani ka anand lene lagta hai.
Kitaab mein aage likha tha:
"Kal jab main kahani likh rahi thi, tab sipahi mujhe le gaye. Mere abba hujur ne bulaya tha, aur waha jaakar humne mera janamdin bohot dhum-dham se manaya. Mujhe zyada shor pasand nahi hai, isliye main door se hi sab dekhna pasand karti hoon. Mere abba hujur hamesha praja ke kaam mein busy rehte hain, aur main apne kamre mein akeli rehti hoon."
Ali puri kahani padhte-padhte bohot khoya hua tha, aur usse Aaliyah ki duniya samajh mein aane lagi thi. Usne socha, Agar yeh kitaab puri tarah se padh loon to shayad kuch aur raaz khul sakte hain.
Phir Ali ke dost usse bulaane aaye, aur Ali ne kitaab chupakar unke saath chala gaya.
Aage ki Kahani Jald Hi aayegi?
Dheere dheere yeh raaz khulenge, aur Ali ko Aaliyah ki kahani ka sach samajh mein aayega.
Kya hoga us kitaab mein agla raaz?
Treasure of Seven Trials - Aaliyah’s Treasure Map
Treasure of Seven Trials