Skip to Content

Flicker’s Lie P-1

Ek alien research ke liye Earth aata hai, lekin ek ladki Tamanna use rabbit samajh apne saath le jaati hai... kya Tamanna uska raaz jaan paayegi? Dekho suspense bhari kahaani Flicker’s Lie - Part 1.
24 मार्च 2025 by
Flicker’s Lie P-1
ImtiyazSheikh

Ek alien, jo ek research agent ke roop mein Earth par bheja gaya tha, raat ke andhere mein ek jungle mein land karta hai. Jaise hi woh utarta hai, uska spaceship wapas space mein chala jata hai. Alien ka maksad hai Earth ke jeev-jantuo ka adhyayan karna. Woh turant apna kaam shuru kar deta hai – chhoti-chhoti cheentiyo aur doosre jeevo par research karta hai. Subah tak kaam karne ke baad, uski nazar ek pyare se rabbit par padti hai. Woh khushi se us rabbit ka roop dharan kar leta hai, kyunki ab tak usne kisi insaan ko nahi dekha tha.

Tabhi, ek saanp uski taraf badhta hai, apne phaans failaye, attack karne ke liye taiyaar. Alien apni shakti se saanp ka samay rok deta hai aur usko scan karke uske baare mein jaanane lagta hai.


Dusri taraf, Tamanna, jo paas ke jungle mein ghoom rahi thi, yeh nazara dekh leti hai. Usse ek rabbit dikhta hai, jiske sir par kuch chamak raha hai, aur saamne ek saanp khada hai, jaise abhi rabbit ko kaatne wala ho. Tamanna darr jati hai aur rabbit ko bachane ke liye uski taraf bhagti hai. Himmat juta kar woh saanp ke saamne se rabbit ko utha leti hai aur usse apni godh mein leke bhaag jati hai. Saanp wahi khada reh jata hai.


Tamanna ko yeh nahi pata ki yeh rabbit asal mein ek alien hai. Uske sir par woh chamak kya thi? Saanp uske saamne kyun khada tha? In sawaalon se bekhabar, woh rabbit ko apne ghar le aati hai, poore raste peeche mudkar nahi dekhti. Ghar pahunch kar woh rabbit ko khana-paani deti hai aur apne dada ji ko batati hai, "Maine iski jaan ek saanp se bachayi!" Dada ji khush hote hain aur apne kaam ke liye nikal jate hain, Tamanna ko alien ke saath akela chhod kar. Tamanna uska naam "Popcorn" rakhti hai aur usse ghar mein rehne ki jagah deti hai.


Alien, jo ab Popcorn ke roop mein hai, sochta hai ki insaan kaise jeete hain – khana-peena, surakshit ghar, sab kuch dekhta hai. Woh Tamanna se aur jaankaari lene ke liye apni shakti ka istemaal karne ki koshish karta hai, lekin tabhi Tamanna uske sir par haath rakh deti hai. Isse alien apni shakti ka upyog nahi kar pata. Tamanna bolti hai, "Ye chamakdaar moti tere sir par kahan se aaya?" Alien ko insaani bhasha nahi aati, aur usse lagta hai ki shayad Tamanna ne uski asli pehchaan jaan li hai. Jaise hi Tamanna apna haath hataati hai, alien poori taakat laga kar apne asli roop mein badal jata hai aur apni shakti se pure kamre ka control rok deta hai.


Tamanna zor se cheekhti hai aur darr ke maare behosh ho jati hai. Alien usse apni shakti se hawa mein utha leta hai aur insaani sharir ko scan karna shuru kar deta hai. Scan ke dauraan, woh Tamanna ke darr, dukh, khushi, aur zindagi ke baare mein sab kuch jaan jata hai. Alien ko ehsaas hota hai ki usne jo kiya woh galat tha. Lekin chunki Tamanna ne uska asli roop dekh liya tha, woh uski yaad-daasht se yeh ghatna mita deta hai. Uske baad, woh Tamanna ko bed par lita deta hai aur khud wapas rabbit ban jata hai.

Next Part Coming Soon..........


Share this post
Tags
Archive