Ek alien, jo ek research agent ke roop mein Earth par
bheja gaya tha, raat ke andhere mein ek jungle mein land karta hai. Jaise hi
woh utarta hai, uska spaceship wapas space mein chala jata hai. Alien ka maksad
hai Earth ke jeev-jantuo ka adhyayan karna. Woh turant apna kaam shuru kar deta
hai – chhoti-chhoti cheentiyo aur doosre jeevo par research karta hai. Subah
tak kaam karne ke baad, uski nazar ek pyare se rabbit par padti hai. Woh khushi
se us rabbit ka roop dharan kar leta hai, kyunki ab tak usne kisi insaan ko
nahi dekha tha.
Tabhi, ek saanp uski taraf badhta hai, apne phaans
failaye, attack karne ke liye taiyaar. Alien apni shakti se saanp ka samay rok
deta hai aur usko scan karke uske baare mein jaanane lagta hai.
Dusri taraf, Tamanna, jo paas ke jungle mein ghoom rahi
thi, yeh nazara dekh leti hai. Usse ek rabbit dikhta hai, jiske sir par kuch
chamak raha hai, aur saamne ek saanp khada hai, jaise abhi rabbit ko kaatne
wala ho. Tamanna darr jati hai aur rabbit ko bachane ke liye uski taraf bhagti
hai. Himmat juta kar woh saanp ke saamne se rabbit ko utha leti hai aur usse
apni godh mein leke bhaag jati hai. Saanp wahi khada reh jata hai.
Tamanna ko yeh nahi pata ki yeh rabbit asal mein ek alien
hai. Uske sir par woh chamak kya thi? Saanp uske saamne kyun khada tha? In
sawaalon se bekhabar, woh rabbit ko apne ghar le aati hai, poore raste peeche
mudkar nahi dekhti. Ghar pahunch kar woh rabbit ko khana-paani deti hai aur
apne dada ji ko batati hai, "Maine iski jaan ek saanp se bachayi!"
Dada ji khush hote hain aur apne kaam ke liye nikal jate hain, Tamanna ko alien
ke saath akela chhod kar. Tamanna uska naam "Popcorn" rakhti hai aur
usse ghar mein rehne ki jagah deti hai.




Alien, jo ab Popcorn ke roop mein hai, sochta hai ki
insaan kaise jeete hain – khana-peena, surakshit ghar, sab kuch dekhta hai. Woh
Tamanna se aur jaankaari lene ke liye apni shakti ka istemaal karne ki koshish
karta hai, lekin tabhi Tamanna uske sir par haath rakh deti hai. Isse alien
apni shakti ka upyog nahi kar pata. Tamanna bolti hai, "Ye chamakdaar moti
tere sir par kahan se aaya?" Alien ko insaani bhasha nahi aati, aur usse
lagta hai ki shayad Tamanna ne uski asli pehchaan jaan li hai. Jaise hi Tamanna
apna haath hataati hai, alien poori taakat laga kar apne asli roop mein badal
jata hai aur apni shakti se pure kamre ka control rok deta hai.
Tamanna zor se cheekhti hai aur darr ke maare behosh ho jati hai. Alien usse apni shakti se hawa mein utha leta hai aur insaani sharir ko scan karna shuru kar deta hai. Scan ke dauraan, woh Tamanna ke darr, dukh, khushi, aur zindagi ke baare mein sab kuch jaan jata hai. Alien ko ehsaas hota hai ki usne jo kiya woh galat tha. Lekin chunki Tamanna ne uska asli roop dekh liya tha, woh uski yaad-daasht se yeh ghatna mita deta hai. Uske baad, woh Tamanna ko bed par lita deta hai aur khud wapas rabbit ban jata hai.
Next Part Coming Soon..........
Flicker’s Lie P-1